Sunday, October 16, 2011

Anchuyi Si Tasveer


Us din jab se maine aankhien thi kholi,

Tab se dil ne bhi koi baat mujhse na boli,

Andar hi andar jala ja raha tha,

Raakh bankar mita ja raha tha,

Ek parchaayi mujhe kheenchti chali ja rahi thi,

Itne ujale me bhi wo andheron se mili ja rahi thi,

Main uske saath jaaun na jaaun,

Us andhere me samaaun ya na samaaun,

Har kadam ek darr tha,

Jabse tu mera rehguzar tha,

Ishq ka daldal mujhe pal pal dafan kar raha tha,

Har subah har raat main apna katl jo kar raha tha,

Wo andhera bhi mujhse ye hi batane aaya tha,

Ujaala us oor nahi jis oor main ja raha tha,

Manzil us oor nahi jis oor main kadam badha raha tha,

Fir har subah ki tarah roya,shaam ki tarah muskuraya,

Ke  wo aaj bhi na aaya tha,

Main to bas yaadien saath laya tha,

Fir jhunjhlakar maine uski tasveer jala di,

Uski soorat uski raakh mitti mein mila di,

Par us shaam main roya aur subah muskuraya,

Uski tasveer “anchuyi” mere dil mein ab bhi baaki thi!!!!!!......

Written on 29th July,2011 2:55 P.M.

ख़ामोशी

तू अभी नादान है तेरे ख़यालों की दुनिया अभी आबाद है यही तेरी ग़लती है इसमें तेरी ग़लती तो कुछ नहीं इसमें वक़्त की भी ग़लती नहीं इसमें दुनिया की ग़ल...