Saturday, August 4, 2012

Nirbhay

Main aage badhta rehta hun,
Peeche mudkar nahin dekhta,
Yadon aur beeti baton ko,
Kismat se nahin taulta,

Manzilein to aati rehti hain,
Main rukkar nahin sochta,
Har ek manzil ke patthar par,
Kisi ka rasta nahin dekhta,

Main har pal socha karta hun,
Main har pal badhta rehta hun,
Main har pal waada karta hun,
Khudko main kabhi nahin rokta,

Yun khud ka hi main saathi hun,
Yun khud hi raahein paata hun,
Har raat yahi sab sochkar,
Main khud ko nahin maarta,

Main baat pate ki karta hun,
Main kaam samajh kar karta hun,
Ye waqt mujhe sikhlata hai,
Main rukna hi nahin chaahta,

Mere aage kitne patthar hain,
Ye raah mujhe batlaati hai,
Thokar to lagti rehti hai,
Thokaron se ab nahin rukta,

Ye safar mujhe sikhlate hain,
Zindagi bina aaraam ki hai,
Har waqt yahan bas chalna hai,
Ab chalne se nahin thakta,

Aankhon mein aise sapne hain,
Sach jab honge tab apne hain,
Sapnon ki duniya mein behkar,
Unki dhaara main nahin rokta....

Main aage badhta rehta hun,
Manzilein to aati rehti hain,
Main har pal socha karta hun,
Yun khud ka hi main saathi hun,
Mere aage kitne patthar hain,
Ye safar mujhe sikhlate hain......

Zindagi mera naam leti hai,
Saansein bhi ek mukaam deti hain,
Kehti hai meri dhadkan bhi,
Tu ab kisi se nahin darta......


Written During A Journey On Train....

Aawarapan...

Aawarapan ki aadat hai mujhko,
Ye zindagi bhi aawarapan si lagne lagi hai,

Aawara dhadkan hai,
Aawara is man mein tu,
Aawara si hokar tu bhi
Is dil mein bhatakne lagi  hai,

Aawara khwahish hai,
Aawara se sangeet mein tu,
Aawara si hokar tu bhi,
Sargam ki tarah bajne lagi hai,

Aawara daastan hai,
Aawara sa kirdaar hun main,
Aawara sa hokar main bhi,
Teri hi dhun par behekne laga hun,

Aawara meri kashti hai,
Aawara bankar behti hai,
Aawara si hokar tu bhi,
Usko sagar mein behkane lagi hai,

Aawara man ki nadiya hai,
Aawara bankar rehti hai,
Aawara si hokar tu bhi,
Is mann ki tapan chuppane lagi hai......

Written During A Journey On Train....

Saturday, April 14, 2012

Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge

READ IT WITH FULLEST CONCENTRATION...!!!!

Hanste Hanste Tum Meri Yadon Ko Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,

Bhool Jaoge Ki Humne Bhi Baanti Thi Roti,
Khaye Bhi Aisi Thaali Mein Jo Thi Thodi Choti,
Magar Us Thaali Se Bade Humare Dil The,
Bade Pyaar Se Hum Ek Doosre Ka Munh Bharte The,
Un Tukdon Ki Mithaas Ko Apne Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,

Bhool Jaoge Ke Humne Bhi Khilaune The Tode,
Shaambhar Khelkar Bhi Na Thakte The Thode,
Un Toote Khilaunon Mein Hum Muskurate The,
Un Khilaunon Se Thode Sapney Churate The,
Un Gudiyon Ke Khelon Ko Apne Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,


Bhool Jaoge Humne Tha Baarish Mein Nahaya,
Un Taazi Si Bundon Ko Maathe Pe Sajaya,
Wo Baarish Bhi Dhulkar Khush Si Ho Jaati Thi,
Khushiyon se Humari Mulakat Si Ho Jaati Thi,
Us Saavan Ki Baarish Ko Apne Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,


Bhool Jaoge Hum Donon Milkarke Rote The,
Hum Sab Ke Maa Baap Jab Gussa Hote The,
Gharon Mein Jab Humne Udham Thi Machayi,
Sab Milkar Hanste Jab Shaitani Thi Rang Laayi,
Un Shaitaniyon Ko Apne Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,

Bhool Jaoge Jab Humne Sheesha Tha Toda,
Sunkar Meri Baat Maa Ka Garmana Thoda,
Chutti Hote Hi Kheton Se Ganne Churana,
Meethe Ras Ke Tukdon Se Yunhi Muskurana,
Un Hanste Lamhon Ko Apne Dil Se Mitaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,


Bhool Jaoge Tum Mere Geeton Ke Bol,
Wo Saari Baatien Jab Khul Gayi Thi Pol,
Meri Is Hasti Ko Is Kadar Bhulaoge,
Chahoge To Bhi Na Mujhe Yaad Kar Paoge,
Har Baat Har Hansi Is Tarah Dafnaoge,
Dhoondhoge Unki Kabra To Bhi Na Dhoond Paoge,
Har Kadi Todkar Jab Tum Door Jaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge,
Dheere Dheere Tum Mujhko Bhool Jaoge........




WRITTEN IN JULY 2011

Kuch Sawaal Tumhare Liye

Ye chaal hai ya koi saajish ho rahi hai,
Kyun in lamhon ke darmiyaan hum door ho rahe hain?
Kya tumhein nahi lagta saath beete huye pal humein fir se bula rahe hain?
Ye kyun ho jaata hai, Ye kaise ho raha hai?
Kyun jo baatien humein paas laati thi, door le jaa rahi hain?
Kya humara abhimaan humare rishte ko nigal raha hai?
Kya savera shaam sa hi dhal raha hai?
Kya tumhari hi khushi meri khushi nahin thi?
Kya tumhari hi hansi meri hansi nahin thi?
Humare rishte mein dooriyan kahan se aa rahi hain?
Inhi dooriyon mein galatfehmiyan samaa rahi hain....
Kya tumhein nahi lagta hum apne raaste badal rahe hain?
Ya ki lagta hai neend mein karvat badal rahe hain?
Safar kaisa bhi tha hum bas aapke sahare par jee rahe hain.....
Kyun tumhaari ummeed humesha mujhko rehti hai?
Tumhara haal jaankar hi sanson mein saans behti hai....
Tadap dil ki nigahon se bayan hum kyun nahin kar rahe hain?
Tumhare liye hi to chehre par ik hansi sajaa rakhi hai....
Mujhe samajhna hi mushkil hai samajh paogi tum kaise?
Mera dil bhi na dhadka jab se tumhein dekha nahin hanste.....

Jis Din Mere In Sawalon Ka Jawaab Tum Dogi,
Us Din Samajh Lena Hum Tumse Door Ho Gaye Hain....
Lekin Tumhare Saath Ki Aasha Mein Hum Qayamat Se Jee Rahe Hain....


WRITTEN ABOUT BROKEN RELATIONSHIP'S ...!!!

Aisi Dosti

Saath hi chale the humare raaste jab se humne thaame the haanth,
Lekin waqt ki angdayiyon ke saath mujhe peeche chod gaye aap,
Kaha tha har aansoo har muskaan mein denge tumhara saath,
Fir jaane kyun munh mod liya, jaane kya thi baat?
Dosti nibhayi aisi ki dil mein bhi hazaron suraakh kar diye,
Uske na nikle ek bhi aansoo jo humare daaman mein angaare rakh kar chal diye,
Kitne hi din beet gaye hum unki ek hansi muskaan ke saath jeete rahe,
Wo humare dil ka dard badhakar humare aansuon se paudhe seenchte rahe.....


WRITTEN IN SEPTEMBER 2011

ख़ामोशी

तू अभी नादान है तेरे ख़यालों की दुनिया अभी आबाद है यही तेरी ग़लती है इसमें तेरी ग़लती तो कुछ नहीं इसमें वक़्त की भी ग़लती नहीं इसमें दुनिया की ग़ल...