Monday, April 11, 2011

Chota sa safar

ZINDAGI KI SOCH LE AAYI KAHAN PE,
HAI WADON KI TASVEER JHOOTHI JAHAN PE,
KOI TAPKE SONA HUA HAI YAHAN PE,
KOI APNI PEHCHAAN KHOTA YAHAN PE,



YE JALTE KADAM,YE JHUKTI KAMAR,
YAHI MEHNATANO KI TASVEER HAI,
CHUBHAN KANTE KI YA SHIKAN MAATHE KI,
YE SAB APNI APNI HI TAKDEER HAI,



AGAN KA AGAN SE BHI MILNA KAHAN PE,
HAI PAANI KA SAILAAB BEHTA JAHAN PE,
KOI KHUSH HAI ITNA KI SAARE JAHAAN SE,
KOI HAI JO RO BHI NA SAKTA YAHAN PE'



YE ANDHI NAZAR,UMAR KA ASAR,
BAS KUCH DINO KA HI KHEL HAI,
KAHAN SE KAHAN TAK HAI CHALNA SAFAR,
DILON SE DILON KA YAHIN MEL HAI....



PENNED AT 2:30 AM, MAY,5,2010

No comments:

Post a Comment

ख़ामोशी

तू अभी नादान है तेरे ख़यालों की दुनिया अभी आबाद है यही तेरी ग़लती है इसमें तेरी ग़लती तो कुछ नहीं इसमें वक़्त की भी ग़लती नहीं इसमें दुनिया की ग़ल...